har shai hai pur malaal badii tez dhoop hai
— Saghar Siddiqui
Har shai hai pur-malaal baDee tez dhoop hai
Har lab pe hai savaal baDee tez dhoop hai
Chakraa ke gir na jaaon main is tez dhoop men
Mujh ko zaraa sambhaal baDee tez dhoop hai
De hukm baadalon ko khayaabaan-nasheen hoon
Jaam-o-suboo uchhaal baDee tez dhoop hai
Mumkin hai abr-e-rahmat-e-yazdaan baras paDe
Zulfon kee Chaaon Daal baDee tez dhoop hai
Ab shahr-e-aarzoo men wo ra.anaa.iyaan kahaan
Hain gul-kade niDhaal baDee tez dhoop hai
Samjhee hai jis ko saaya-e-ummeed aql-e-khaam
'saaghar' kaa hai khayaal baDee tez dhoop hai
Har shai hai pur-malal baDi tez dhup hai
Har lab pe hai sawal baDi tez dhup hai
Chakra ke gir na jaun main is tez dhup mein
Mujh ko zara sambhaal baDi tez dhup hai
De hukm baadalon ko KHayaban-nashin hun
Jam-o-subu uchhaal baDi tez dhup hai
Mumkin hai abr-e-rahmat-e-yazdan baras paDe
Zulfon ki chhanw Dal baDi tez dhup hai
Ab shahr-e-arzu mein wo ranaiyan kahan
Hain gul-kade niDhaal baDi tez dhup hai
Samjhi hai jis ko saya-e-ummid aql-e-KHam
'saghar' ka hai KHayal baDi tez dhup hai