is darja ishq maujib e rusvaaii ban gaya
— Saghar Siddiqui
Is darja ishq maujib-e-rusvaa.ee ban gaya
Main aap-apne ghar kaa tamaashaa.ee ban gaya
Dair o haram kee raah se dil bach gaya magar
Teree galee ke moD pe saudaai ban gaya
Bazm-e-wafa men aap se ik pal kaa saamnaa
Yaad aa gaya to ahd-e-shanaasaa.ee ban gaya
Be-saakhta bikhar ga.ee jalvon kee kaa.enaat
Aa.eena Toot kar tiree Angdhaai ban gaya
Dekhee jo raqs kartee huee mauj-e-zindagee
Meraa khayaal vaqt kee shahnaa.ee ban gaya
Is darja ishq maujib-e-ruswai ban gaya
Main aap-apne ghar ka tamashai ban gaya
Dair o haram ki rah se dil bach gaya magar
Teri gali ke moD pe saudai ban gaya
Bazm-e-wafa mein aap se ek pal ka samna
Yaad aa gaya to ahd-e-shanasai ban gaya
Be-saKHta bikhar gai jalwon ki kaenat
Aaina TuT kar teri angDai ban gaya
Dekhi jo raqs karti hui mauj-e-zindagi
Mera KHayal waqt ki shahnai ban gaya