jaam takraao vaqt naazuk hai
— Saghar Siddiqui
Jaam Takraao vaqt naazuk hai
Rang chhalkaao vaqt naazuk hai
Hasraton kee haseen qabron par
Phuul barsaao vaqt naazuk hai
Ik fareb aur zindagee ke liye
Haath phailaao vaqt naazuk hai
Rang uDne lagaa hai phoolon kaa
Ab to aa jaao vaqt naazuk hai
Tishnagee tishnagee are tauba
Zulf lahraao vaqt naazuk hai
Bazm-e-'saaghar' hai gosh-bar-awaaz
Kuchh to farmaao vaqt naazuk hai
Jam Takrao waqt nazuk hai
Rang chhalkao waqt nazuk hai
Hasraton ki hasin qabron par
Phul barsao waqt nazuk hai
Ek fareb aur zindagi ke liye
Hath phailao waqt nazuk hai
Rang uDne laga hai phulon ka
Ab to aa jao waqt nazuk hai
Tishnagi tishnagi are tauba
Zulf lahrao waqt nazuk hai
Bazm-e-'saghar' hai gosh-bar-awaz
Kuchh to farmao waqt nazuk hai