jazba e soz e talab ko be karaan karte chalo
— Saghar Siddiqui
Jazba-e-soz-e-talab ko be-karaan karte chalo
Koo-ba-koo raushan charaag-e-kaarvaan karte chalo
Chashm-e-saaqee pur-tabassum mai-kadaa bahkaa huaa
Aao qismat ko hareef-e-kahkashaan karte chalo
Chheen laao aasmaan se mehr-o-mah kee azmaten
Aur TuuTe jhonpaDon ko zau fashaan karte chalo
Zindagee ko log kahte hain baraa.e-bandagee
Zindagee kaT jaa.egee zikr-e-butaan karte chalo
Jin se zinda ho yaqeen o aagahee kee aabroo
Ishq kee raahon men Kuch aise gumaan karte chalo
Har nafas ai jiine vaalo shaghl-e-paimaana rahe
Be-khudee ko zindagee kaa paasbaan karte chalo
ChheD kar 'saaghar' kisee ke gesuon kee daastaan
In shagoofon ko zaraa sho.ala-zabaan karte chalo
Jazba-e-soz-e-talab ko be-karan karte chalo
Ku-ba-ku raushan charag-e-karwan karte chalo
Chashm-e-saqi pur-tabassum mai-kada bahka hua
Aao qismat ko harif-e-kahkashan karte chalo
Chhin lao aasman se mehr-o-mah ki azmaten
Aur TuTe jhonpaDon ko zau fashan karte chalo
Zindagi ko log kahte hain barae-bandagi
Zindagi kaT jaegi zikr-e-butan karte chalo
Jin se zinda ho yaqin o aagahi ki aabru
Ishq ki rahon mein Kuch aise guman karte chalo
Har nafas ai jine walo shaghl-e-paimana rahe
Be-KHudi ko zindagi ka pasban karte chalo
ChheD kar 'saghar' kisi ke gesuon ki dastan
In shagufon ko zara shoala-zaban karte chalo