kaliyon ki mahak hota taaron ki ziyaa hota

Saghar Siddiqui

Kaliyon kee mahak hota taaron kee ziyaa hota Main bhee tire gulshan men phoolon kaa khuda hota Har chiiz zamaane kee aa.eena-e-dil hotee Khaamosh mohabbat kaa itnaa to sila hota Tum haal-e-pareshaan kee pursish ke liye aate Sahraa-e-tamannaa men mela saa lagaa hota Har gaam pe kaam aate zulfon ke tiree saa.e Ye qaafila-e-hastee be-raahnumaa hota Ehsaas kee Daalee par ik phuul mahaktaa hai Zulfon ke liye tum ne ik roz chunaa hota Kaliyon ki mahak hota taron ki ziya hota Main bhi tere gulshan mein phulon ka KHuda hota Har chiz zamane ki aaina-e-dil hoti KHamosh mohabbat ka itna to sila hota Tum haal-e-pareshan ki pursish ke liye aate Sahra-e-tamanna mein mela sa laga hota Har gam pe kaam aate zulfon ke teri sae Ye qafila-e-hasti be-rahnuma hota Ehsas ki Dali par ek phul mahakta hai Zulfon ke liye tum ne ek roz chuna hota