khataa vaar e muravvat ho na marhuun e karam ho jaa
— Saghar Siddiqui
Khataa-vaar-e-muravvat ho na marhoon-e-karam ho jaa
Masarrat sar jhukaa.egee parastaar-e-alam ho jaa
Inhee be-rabt khawabon se koi ta.abeer niklegee
Inhee uljhee huee raahon pe meraa ham-qadam ho jaa
Kisee zardaar se jins-e-tabassum maangne vaale
Kisee bekas ke laashe par shareek-e-chashm-e-nam ho jaa
Kisee din in andheron men charaaghaan ho hee jaa.egaa
Jalaa kar daagh-e-dil koi ziyaa-e-shaam-e-gham ho jaa
Tujhe suljhaa.egaa ab inqilaab-e-vaqt kaa shaana
Taqaazaa-e-junoon hai gesu-e-dauraan kaa kham ho jaa
Tajassus markaz-e-taqdeer kaa qaa.il nahin hota
Shu.oor-e-bandagee! begaana-e-dair-o-haram ho jaa
Ye manzil aur gard-e-kaarvaan 'saaghar' kahaan apne
SimaT kar rahguzaar-e-vaqt par naqsh-e-qadam ho jaa
KHata-war-e-murawwat ho na marhun-e-karam ho ja
Masarrat sar jhukaegi parastar-e-alam ho ja
Inhi be-rabt KHwabon se koi tabir niklegi
Inhi uljhi hui rahon pe mera ham-qadam ho ja
Kisi zardar se jins-e-tabassum mangne wale
Kisi bekas ke lashe par sharik-e-chashm-e-nam ho ja
Kisi din in andheron mein charaghan ho hi jaega
Jala kar dagh-e-dil koi ziya-e-sham-e-gham ho ja
Tujhe suljhaega ab inqilab-e-waqt ka shana
Taqaza-e-junun hai gesu-e-dauran ka KHam ho ja
Tajassus markaz-e-taqdir ka qail nahin hota
Shuur-e-bandagi! begana-e-dair-o-haram ho ja
Ye manzil aur gard-e-karwan 'saghar' kahan apne
SimaT kar rahguzar-e-waqt par naqsh-e-qadam ho ja