mahfilen lut gaiin jazbaat ne dam tod diyaa
— Saghar Siddiqui
Mahfilen luT ga.iin jazbaat ne dam toD diyaa
Saaz khaamosh hain naghmaat ne dam toD diyaa
Har masarrat gham-e-deeroz kaa unvaan banee
Vaqt kee god men lamhaat ne dam toD diyaa
An-ginat mahfilen mahroom-e-charaaghaan hain abhee
Kaun kahtaa hai ki zulmaat ne dam toD diyaa
Aaj phir bujh ga.e jal jal ke umeedon ke charaagh
Aaj phir taaron bharee raat ne dam toD diyaa
Jin se afsaana-e-hastee men tasalsul thaa kabhi
Un mohabbat kee rivaayaat ne dam toD diyaa
Jhilmilaate hue ashkon kee laDee Toot ga.ee
Jagmagaatee huee barsaat ne dam toD diyaa
Haa.e aadaab-e-mohabbat ke taqaaze 'saaghar'
Lab hile aur shikaayaat ne dam toD diyaa
Mahfilen luT gain jazbaat ne dam toD diya
Saz KHamosh hain naghmat ne dam toD diya
Har masarrat gham-e-diroz ka unwan bani
Waqt ki god mein lamhat ne dam toD diya
An-ginat mahfilen mahrum-e-charaghan hain abhi
Kaun kahta hai ki zulmat ne dam toD diya
Aaj phir bujh gae jal jal ke umidon ke charagh
Aaj phir taron bhari raat ne dam toD diya
Jin se afsana-e-hasti mein tasalsul tha kabhi
Un mohabbat ki riwayat ne dam toD diya
Jhilmilate hue ashkon ki laDi TuT gai
Jagmagati hui barsat ne dam toD diya
Hae aadab-e-mohabbat ke taqaze 'saghar'
Lab hile aur shikayat ne dam toD diya