terii nazar kaa rang bahaaron ne le liyaa
— Saghar Siddiqui
Teree nazar kaa rang bahaaron ne le liyaa
Afsurdagee kaa ruup taraanon ne le liyaa
Jis ko bharee bahaar men ghunche na kah sake
Vo vaaqi'a bhee mere fasaanon ne le liyaa
Shaayad milegaa qariya-e-mahtaab men sukoon
Ahl-e-khirad ko aise gumaanon ne le liyaa
Yazdaan se bach raha thaa jalaalat kaa ek lafz
Us ko haram ke shokh bayaanon ne le liyaa
Teree adaa se ho na sakaa jis kaa faisla
Vo zindagee kaa raaz nishaanon ne le liyaa
Afsaana-e-hayaat kee takmeel ho ga.ee
Apnon ne le liyaa ki begaanon ne le liyaa
Bhoolee nahin wo qaus-e-quzah kee see sooraten
'saaghar' tumhen to mast dhiyaanon ne le liyaa
Teri nazar ka rang bahaaron ne le liya
Afsurdagi ka rup taranon ne le liya
Jis ko bhari bahaar mein ghunche na kah sake
Wo waqi'a bhi mere fasanon ne le liya
Shayad milega qariya-e-mahtab mein sukun
Ahl-e-KHirad ko aise gumanon ne le liya
Yazdan se bach raha tha jalalat ka ek lafz
Us ko haram ke shoKH bayanon ne le liya
Teri ada se ho na saka jis ka faisla
Wo zindagi ka raaz nishanon ne le liya
Afsana-e-hayat ki takmil ho gai
Apnon ne le liya ki beganon ne le liya
Bhuli nahin wo qaus-e-quzah ki si suraten
'saghar' tumhein to mast dhiyanon ne le liya