zakhm e dil par bahaar dekhaa hai
— Saghar Siddiqui
Zakhm-e-dil par bahaar dekhaa hai
Kyaa ajab laala-zaar dekhaa hai
Jin ke daaman men Kuch nahin hota
Un ke seenon men pyaar dekhaa hai
Khaak uDtee hai teree galiyon men
Zindagee kaa vaqaar dekhaa hai
Tishnagee hai sadaf ke honTon par
Gul kaa siina figaar dekhaa hai
Saaqiyaa! ehtimaam-e-baada kar
Vaqt ko sogvaar dekhaa hai
Jazba-e-gham kee khair ho 'saaghar'
Hasraton par nikhaar dekhaa hai
ZaKHm-e-dil par bahaar dekha hai
Kya ajab lala-zar dekha hai
Jin ke daman mein Kuch nahin hota
Un ke sinon mein pyar dekha hai
KHak uDti hai teri galiyon mein
Zindagi ka waqar dekha hai
Tishnagi hai sadaf ke honTon par
Gul ka sina figar dekha hai
Saqiya! ehtimam-e-baada kar
Waqt ko sogwar dekha hai
Jazba-e-gham ki KHair ho 'saghar'
Hasraton par nikhaar dekha hai