26 january aao ki aaj gaur karen is savaal par
— Sahir Ludhianvi
Aao ki aaj ghaur karen is savaal par
Dekhe the ham ne jo wo haseen khvaab kya hue
Daulat baDhee to mulk men iflaas kyuun baDhaa
Khush-haalee-e-avaam ke asbaab kya hue
Jo apne saath saath chale ku-e-daar tak
Vo dost wo rafeeq wo ahbaab kya hue
Kyaa mol lag raha hai shaheedon ke Khoon kaa
Marte the jin pe ham wo sazaa-yaab kya hue
Be-kas barahnagee ko kafan tak nahin naseeb
Vo va.ada-haa-e-atlas-o-kim-khvaab kya hue
Jamhooriyat-navaaz bashar-dost amn-khvaah
Khud ko jo khud diye the wo alqaab kya hue
Maz.hab kaa rog aaj bhee kyuun laa-'ilaaj hai
Vo nuskha-haa-e-naadir-o-naayaab kya hue
Har koocha sho'la-zaar hai har shahr qatl-gaah
Yak-jehtee-e-hayaat ke aadaab kya hue
Sahraa-e-teergee men bhaTaktee hai zindagee
Ubhre the jo ufuq pe wo mahtaab kya hue
Mujrim hoon main agar to gunahgaar tum bhee ho
Ai rahbaraan-e-qaum khataa-kaar tum bhee ho
Aao ki aaj ghaur karen is sawal par
Dekhe the hum ne jo wo hasin KHwab kya hue
Daulat baDhi to mulk mein iflas kyun baDha
KHush-haali-e-awam ke asbab kya hue
Jo apne sath sath chale ku-e-dar tak
Wo dost wo rafiq wo ahbab kya hue
Kya mol lag raha hai shahidon ke KHun ka
Marte the jin pe hum wo saza-yab kya hue
Be-kas barahnagi ko kafan tak nahin nasib
Wo wada-ha-e-atlas-o-kim-KHwab kya hue
Jamhuriyat-nawaz bashar-dost amn-KHwah
KHud ko jo KHud diye the wo alqab kya hue
Mazhab ka rog aaj bhi kyun la-'ilaj hai
Wo nusKHa-ha-e-nadir-o-nayab kya hue
Har kucha sho'la-zar hai har shahr qatl-gah
Yak-jehti-e-hayat ke aadab kya hue
Sahra-e-tirgi mein bhaTakti hai zindagi
Ubhre the jo ufuq pe wo mahtab kya hue
Mujrim hun main agar to gunahgar tum bhi ho
Ai rahbaran-e-qaum KHata-kar tum bhi ho