aanaa hai to aa raah men kuch pher nahin hai
— Sahir Ludhianvi
Aanaa hai to aa raah men kuch pher nahin hai
Bhagvaan ke ghar der hai andher nahin hai
Jab tujh se na suljhen tire uljhe hue dhande
Bhagvaan ke insaaf pe sab chhoD de bande
Khud hee tiree mushkil ko wo aasaan karegaa
Jo too nahin kar paayaa wo bhagvaan karegaa
Kahne kee zaroorat nahin aanaa hee bahut hai
Is dar pe tiraa siis jhukaanaa hee bahut hai
Jo kuch hai tire dil men sabhee us ko khabar hai
Bande tire har haal pe maalik kee nazar hai
Bin maange hee miltee hain yahaan man kee muraaden
Dil saaf ho jin kaa wo yahaan aa ke sadaa den
Miltaa hai jahaan nayaay wo darbaar yahee hai
Sansaar kee sab se baDee sarkaar yahee hai
Aana hai to aa rah mein kuch pher nahin hai
Bhagwan ke ghar der hai andher nahin hai
Jab tujh se na suljhen tere uljhe hue dhande
Bhagwan ke insaf pe sab chhoD de bande
KHud hi teri mushkil ko wo aasan karega
Jo tu nahin kar paya wo bhagwan karega
Kahne ki zarurat nahin aana hi bahut hai
Is dar pe tera sis jhukana hi bahut hai
Jo kuch hai tere dil mein sabhi us ko KHabar hai
Bande tere har haal pe malik ki nazar hai
Bin mange hi milti hain yahan man ki muraden
Dil saf ho jin ka wo yahan aa ke sada den
Milta hai jahan nayay wo darbar yahi hai
Sansar ki sab se baDi sarkar yahi hai