ab koi gulshan na ujde ab vatan aazaad hai
— Sahir Ludhianvi
Ab koi gulshan na ujDe ab vatan aazaad hai
Ruuh gangaa kee himaala kaa badan aazaad hai
Khetiyaan sonaa ugaa.en vaadiyaan motee luTaa.en
Aaj gautam kee zameen tulsee kaa ban aazaad hai
Mandiron men sankh baaje masjidon men ho azaan
Shaikh kaa dharm aur deen-e-barhaman aazaad hai
LuuT kaisee bhee ho ab is desh men rehne na paa.e
Aaj sab ke vaaste dhartee kaa dhan aazaad hai
Ab koi gulshan na ujDe ab watan aazad hai
Ruh ganga ki himala ka badan aazad hai
Khetiyan sona ugaen wadiyan moti luTaen
Aaj gautam ki zamin tulsi ka ban aazad hai
Mandiron mein sankh baje masjidon mein ho azan
ShaiKH ka dharm aur din-e-barhaman aazad hai
LuT kaisi bhi ho ab is desh mein rehne na pae
Aaj sab ke waste dharti ka dhan aazad hai