ahl e dil aur bhi hain kya huaa gar mire yaaron ki zubanein chup hain

— Sahir Ludhianvi

Kya huaa gar mire yaaron kee zubanein chup hain Mere shaahid mire yaaron ke sivaa aur bhee hain Ahl-e-dil aur bhee hain ahl-e-wafa aur bhee hain Ek ham hee nahin dunya se khafaa aur bhee hain Ham pe hee khatm nahin maslak-e-shoreeda-siree Chaak-dil aur bhee hain chaak-qabaa aur bhee hain Sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat kee kamee Jaan baaqee hai to paikaan-e-qazaa aur bhee hain Munsif-e-shahr kee vahdat pe na harf aa jaa.e Log kahte hain ki arbab-e-jafaa aur bhee hain Kya hua gar mere yaron ki zabanen chup hain Mere shahid mere yaron ke siwa aur bhi hain Ahl-e-dil aur bhi hain ahl-e-wafa aur bhi hain Ek hum hi nahin duniya se KHafa aur bhi hain Hum pe hi KHatm nahin maslak-e-shorida-siri Chaak-dil aur bhi hain chaak-qaba aur bhi hain Sar salamat hai to kya sang-e-malamat ki kami Jaan baqi hai to paikan-e-qaza aur bhi hain Munsif-e-shahr ki wahdat pe na harf aa jae Log kahte hain ki arbab-e-jafa aur bhi hain