barbaad e mohabbat ki duaa saath liye jaa
— Sahir Ludhianvi
Barbaad-e-mohabbat kee duaa saath liye jaa
TuuTaa huaa iqraar-e-wafa saath liye jaa
Ik dil tha jo pahle hee tujhe saunp diyaa tha
Ye jaan bhee ai jaan-e-adaa saath liye jaa
Taptee huee raahon se tujhe aanch na pahunche
Deevaanon ke ashkon kee ghaTaa saath liye jaa
Shaamil hai miraa khoon-e-jigar teree hinaa men
Ye kam ho to ab khoon-e-wafa saath liye jaa
Ham jurm-e-mohabbat kee sazaa paa.enge tanhaa
Jo tujh se huee ho wo khataa saath liye jaa
Barbaad-e-mohabbat ki dua sath liye ja
TuTa hua iqrar-e-wafa sath liye ja
Ek dil tha jo pahle hi tujhe saunp diya tha
Ye jaan bhi ai jaan-e-ada sath liye ja
Tapti hui rahon se tujhe aanch na pahunche
Diwanon ke ashkon ki ghaTa sath liye ja
Shamil hai mera KHun-e-jigar teri hina mein
Ye kam ho to ab KHun-e-wafa sath liye ja
Hum jurm-e-mohabbat ki saza paenge tanha
Jo tujh se hui ho wo KHata sath liye ja