bujhaa diye hain khud apne haathon mohabbaton ke diye jalaa ke
— Sahir Ludhianvi
Bujhaa diye hain khud apne haathon mohabbaton ke diye jalaa ke
Miree wafa ne ujaaD dee hain umiid kee bastiyaan basaa ke
Tujhe bhulaa denge apne dil se ye faisla to kiyaa hai lekin
Na dil ko maaloom hai na ham ko jiyenge kaise tujhe bhulaa ke
Kabhee milenge jo raaste men to munh phiraa kar palaT paDenge
Kaheen sunenge jo naam teraa to chup rahenge nazar jhukaa ke
Na sochne par bhee sochtee hoon ki zindagaanee men kya rahegaa
Tiree tamannaa ko dafn kar ke tire khayaalon se duur jaa ke
Bujha diye hain KHud apne hathon mohabbaton ke diye jala ke
Meri wafa ne ujaD di hain umid ki bastiyan basa ke
Tujhe bhula denge apne dil se ye faisla to kiya hai lekin
Na dil ko malum hai na hum ko jiyenge kaise tujhe bhula ke
Kabhi milenge jo raste mein to munh phira kar palaT paDenge
Kahin sunenge jo nam tera to chup rahenge nazar jhuka ke
Na sochne par bhi sochti hun ki zindagani mein kya rahega
Teri tamanna ko dafn kar ke tere KHayalon se dur ja ke