dekhaa hai zindagii ko kuch itnaa qariib se

Sahir Ludhianvi

Dekhaa hai zindagee ko kuch itnaa qareeb se Chehre tamaam lagne lage hain ajiib se Kahne ko dil kee baat jinhen DhoonDte the ham Mahfil men aa ga.e hain wo apne naseeb se Neelaam ho raha tha kisee naazneen kaa pyaar Qeemat nahin chukaa.ee ga.ee ik ghareeb se Teree wafa kee laash pe laa main hee Daal duun Resham kaa ye kafan jo milaa hai raqeeb se Dekha hai zindagi ko kuch itna qarib se Chehre tamam lagne lage hain ajib se Kahne ko dil ki baat jinhen DhunDte the hum Mahfil mein aa gae hain wo apne nasib se Nilam ho raha tha kisi naznin ka pyar Qimat nahin chukai gai ek gharib se Teri wafa ki lash pe la main hi Dal dun Resham ka ye kafan jo mila hai raqib se