dekhaa to tha yuunhii kisi gaflat shiaar ne
— Sahir Ludhianvi
Dekhaa to tha yoonhee kisee ghaflat-shi'aar ne
Deevaana kar diyaa dil-e-be-ikhtiyaar ne
Ai aarzoo ke dhundle kharaabo javaab do
Phir kis kee yaad aa.ee thee mujh ko pukaarne
Tujh ko khabar nahin magar ik saada-lauh ko
Barbaad kar diyaa tire do din ke pyaar ne
Main aur tum se tark-e-mohabbat kee aarzoo
Deevaana kar diyaa hai gham-e-rozgaar ne
Ab ai dil-e-tabaah tiraa kya khayaal hai
Ham to chale the kaakul-e-getee sanvaarne
Dekha to tha yunhi kisi ghaflat-shi'ar ne
Diwana kar diya dil-e-be-iKHtiyar ne
Ai aarzu ke dhundle KHarabo jawab do
Phir kis ki yaad aai thi mujh ko pukarne
Tujh ko KHabar nahin magar ek sada-lauh ko
Barbaad kar diya tere do din ke pyar ne
Main aur tum se tark-e-mohabbat ki aarzu
Diwana kar diya hai gham-e-rozgar ne
Ab ai dil-e-tabah tera kya KHayal hai
Hum to chale the kakul-e-geti sanwarne