havas nasiib nazar ko kahiin qaraar nahin
— Sahir Ludhianvi
Havas-naseeb nazar ko kaheen qaraar nahin
Main muntazir hoon magar teraa intizaar nahin
Hameen se rang-e-gulistaan hameen se rang-e-bahaar
Hameen ko nazm-e-gulistaan pe ikhtiyaar nahin
Abhee na chheD mohabbat ke giit ai mutrib
Abhee hayaat kaa maahaul khush-gavaar nahin
Tumhaare ahd-e-wafa ko main ahd kya samjhoon
Mujhe khud apnee mohabbat pe aitbaar nahin
Na jaane kitne gile is men muztarib hain nadeem
Vo ek dil jo kisee kaa gila-guzaar nahin
Gurez kaa nahin qaa.il hayaat se lekin
Jo sach kahoon ki mujhe maut naagavaar nahin
Ye kis maqaam pe pahunchaa diyaa zamaane ne
Ki ab hayaat pe teraa bhee ikhtiyaar nahin
Hawas-nasib nazar ko kahin qarar nahin
Main muntazir hun magar tera intizar nahin
Hamin se rang-e-gulistan hamin se rang-e-bahaar
Hamin ko nazm-e-gulistan pe iKHtiyar nahin
Abhi na chheD mohabbat ke git ai mutrib
Abhi hayat ka mahaul KHush-gawar nahin
Tumhaare ahd-e-wafa ko main ahd kya samjhun
Mujhe KHud apni mohabbat pe e'tibar nahin
Na jaane kitne gile is mein muztarib hain nadim
Wo ek dil jo kisi ka gila-guzar nahin
Gurez ka nahin qail hayat se lekin
Jo sach kahun ki mujhe maut nagawar nahin
Ye kis maqam pe pahuncha diya zamane ne
Ki ab hayat pe tera bhi iKHtiyar nahin