jashn e gaalib ikkiis baras guzre aazaadi e kaamil ko

Sahir Ludhianvi

Ikkees baras guzre aazaadi-e-kaamil ko Tab jaa ke kaheen ham ko 'ghaalib' kaa khayaal aayaa Turbat hai kahaan us kee maskan tha kahaan us kaa Ab apne sukhan-parvar zehnon men savaal aayaa Sau saal se jo turbat chaadar ko tarastee thee Ab us pe aqeedat ke phoolon kee numaa.ish hai Urdu ke ta.alluq se kuch bhed nahin khultaa Ye jashn ye hangaama khidmat hai ki saazish hai Jin shahron men goonjee thee ghaalib kee navaa barson Un shahron men ab urdu benaam-o-nishaan Thahree Aazaadi-e-kaamil kaa elaan huaa jis din Ma.atoob zabaan Thahree ghaddaar zabaan Thahree Jis ahd-e-siyaasat ne ye zinda zabaan kuchlee Us ahd-e-siyaasat ko marhoom kaa gham kyuun hai 'ghaalib' jise kahte hain urdu hee kaa shaa.ir tha Urdu pe sitam Dhaa kar 'ghaalib' pe karam kyuun hai Ye jashn ye hangaame dilchasp khilaune hain Kuchh logon kee koshish hai kuch log bahal jaa.en Jo waada-e-fardaa par ab Tal nahin sakte hain Mumkin hai ki kuch arsa is jashn pe Tal jaa.en Ye jashn mubaarak ho par ye bhee sadaaqat hai Ham log haqeeqat ke ehsaas se aaree hain 'gaandhee' ho ki 'ghaalib' ho insaaf kee nazron men Ham donon ke qaatil hain donon ke pujaaree hain Ikkis baras guzre aazadi-e-kaamil ko Tab ja ke kahin hum ko 'ghaalib' ka KHayal aaya Turbat hai kahan us ki maskan tha kahan us ka Ab apne suKHan-parwar zehnon mein sawal aaya Sau sal se jo turbat chadar ko tarasti thi Ab us pe aqidat ke phulon ki numaish hai Urdu ke talluq se kuch bhed nahin khulta Ye jashn ye hangama KHidmat hai ki sazish hai Jin shahron mein gunji thi ghaalib ki nawa barson Un shahron mein ab urdu benam-o-nishan Thahri Aazadi-e-kaamil ka elan hua jis din Matub zaban Thahri ghaddar zaban Thahri Jis ahd-e-siyasat ne ye zinda zaban kuchli Us ahd-e-siyasat ko marhum ka gham kyun hai 'ghaalib' jise kahte hain urdu hi ka shair tha Urdu pe sitam Dha kar 'ghaalib' pe karam kyun hai Ye jashn ye hangame dilchasp khilaune hain Kuchh logon ki koshish hai kuch log bahal jaen Jo wada-e-farda par ab Tal nahin sakte hain Mumkin hai ki kuch arsa is jashn pe Tal jaen Ye jashn mubarak ho par ye bhi sadaqat hai Hum log haqiqat ke ehsas se aari hain 'gandhi' ho ki 'ghaalib' ho insaf ki nazron mein Hum donon ke qatil hain donon ke pujari hain