kabhi khud pe kabhi haalaat pe ronaa aayaa
— Sahir Ludhianvi
Kabhi khud pe kabhi haalaat pe ronaa aayaa
Baat niklee to har ik baat pe ronaa aayaa
Ham to samjhe the ki ham bhuul ga.e hain un ko
Kyaa huaa aaj ye kis baat pe ronaa aayaa
Kis liye jiite hain ham kis ke liye jiite hain
Baarhaa aise savaalaat pe ronaa aayaa
Kaun rotaa hai kisee aur kee khaatir ai dost
Sab ko apnee hee kisee baat pe ronaa aayaa
Kabhi KHud pe kabhi haalat pe rona aaya
Baat nikli to har ek baat pe rona aaya
Hum to samjhe the ki hum bhul gae hain un ko
Kya hua aaj ye kis baat pe rona aaya
Kis liye jite hain hum kis ke liye jite hain
Barha aise sawalat pe rona aaya
Kaun rota hai kisi aur ki KHatir ai dost
Sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya