Khoon phir Khoon hai zulm phir zulm hai badhtaa hai to mit jaataa hai
— Sahir Ludhianvi
Zulm phir zulm hai baDhtaa hai to miT jaataa hai
Khuun phir Khoon hai Tapkegaa to jam jaa.egaa
Khaak-e-sahraa pe jame yaa kaf-e-qaatil pe jame
Farq-e-insaaf pe yaa paa-e-salaasil pe jame
Tegh-e-be-daad pe yaa laasha-e-bismil pe jame
Khuun phir Khoon hai Tapkegaa to jam jaa.egaa
Laakh baiThe koi chhup-chhup ke kameen-gaahon men
Khuun khud deta hai jalladon ke maskan kaa suraagh
Saazishen laakh uDaatee raheen zulmat kee naqaab
Le ke har buund nikaltee hai hathelee pe charaagh
Zulm kee qismat-e-naakaara-o-rusvaa se kaho
Jabr kee hikmat-e-parkaar ke iimaa se kaho
Mahmil-e-majlis-e-aqvaam kee lailaa se kaho
Khuun deevaana hai daaman pe lapak saktaa hai
Sho.ala-e-tund hai khirman pe lapak saktaa hai
Tum ne jis Khoon ko maqtal men dabaanaa chaahaa
Aaj wo koocha o baazaar men aa niklaa hai
Kaheen sho.ala kaheen na.ara kaheen patthar ban kar
Khuun chaltaa hai to ruktaa nahin sangeenon se
Sar uThaataa hai to dabtaa nahin aa.eenon se
Zulm kee baat hee kya zulm kee auqaat hee kya
Zulm bas zulm hai aaghaaz se anjaam talak
Khuun phir Khoon hai sau shakl badal saktaa hai
Aisee shaklen ki miTaao to miTaa.e na bane
Aaise sho.ale ki bujhaao to bujhaa.e na bane
Aaise na.are ki dabaao to dabaa.e na bane
Zulm phir zulm hai baDhta hai to miT jata hai
KHun phir KHun hai Tapkega to jam jaega
KHak-e-sahra pe jame ya kaf-e-qatil pe jame
Farq-e-insaf pe ya pa-e-salasil pe jame
Tegh-e-be-dad pe ya lasha-e-bismil pe jame
KHun phir KHun hai Tapkega to jam jaega
Lakh baiThe koi chhup-chhup ke kamin-gahon mein
KHun KHud deta hai jalladon ke maskan ka suragh
Sazishen lakh uDati rahin zulmat ki naqab
Le ke har bund nikalti hai hatheli pe charagh
Zulm ki qismat-e-nakara-o-ruswa se kaho
Jabr ki hikmat-e-parkar ke ima se kaho
Mahmil-e-majlis-e-aqwam ki laila se kaho
KHun diwana hai daman pe lapak sakta hai
Shoala-e-tund hai KHirman pe lapak sakta hai
Tum ne jis KHun ko maqtal mein dabana chaha
Aaj wo kucha o bazar mein aa nikla hai
Kahin shoala kahin nara kahin patthar ban kar
KHun chalta hai to rukta nahin sanginon se
Sar uThata hai to dabta nahin aainon se
Zulm ki baat hi kya zulm ki auqat hi kya
Zulm bas zulm hai aaghaz se anjam talak
KHun phir KHun hai sau shakl badal sakta hai
Aisi shaklen ki miTao to miTae na bane
Aaise shoale ki bujhao to bujhae na bane
Aaise nare ki dabao to dabae na bane