magar zulm ke khilaaf ham amn chaahte hain magar zulm ke khilaaf
— Sahir Ludhianvi
Ham amn chaahte hain magar zulm ke khilaaf
Gar jang laazmee hai to phir jang hee sahee
Zaalim ko jo na roke wo shaamil hai zulm men
Qaatil ko jo na Toke wo qaatil ke saath hai
Ham sar-ba-kaf uThe hain ki haq fata.h-yaab ho
Kah do use jo lashkar-e-baatil ke saath hai
Is Dhang par hai zor to ye Dhang hee sahee
Zaalim kee koi zaat na maz.hab na koi qaum
Zaalim ke lab pe zikr bhee in kaa gunaah hai
Phaltee nahin hai shaakh-e-sitam is zameen par
Taareekh jaantee hai zamaana gavaah hai
Kuchh kor-baatinon kee nazar tang hee sahee
Ye zar kee jang hai na zameenon kee jang hai
Ye jang hai baqaa ke usoolon ke vaaste
Jo Khoon ham ne nazr diyaa hai zameen ko
Vo Khoon hai gulaab ke phoolon ke vaaste
PhooTegee sub.h-e-amn lahoo-rang hee sahee
Hum amn chahte hain magar zulm ke KHilaf
Gar jang lazmi hai to phir jang hi sahi
Zalim ko jo na roke wo shamil hai zulm mein
Qatil ko jo na Toke wo qatil ke sath hai
Hum sar-ba-kaf uThe hain ki haq fatah-yab ho
Kah do use jo lashkar-e-baatil ke sath hai
Is Dhang par hai zor to ye Dhang hi sahi
Zalim ki koi zat na mazhab na koi qaum
Zalim ke lab pe zikr bhi in ka gunah hai
Phalti nahin hai shaKH-e-sitam is zamin par
TariKH jaanti hai zamana gawah hai
Kuchh kor-baatinon ki nazar tang hi sahi
Ye zar ki jang hai na zaminon ki jang hai
Ye jang hai baqa ke usulon ke waste
Jo KHun hum ne nazr diya hai zamin ko
Wo KHun hai gulab ke phulon ke waste
PhuTegi subh-e-amn lahu-rang hi sahi