main pal do pal kaa shaair hoon main pal do pal kaa shaair hoon pal do pal mirii kahaanii hai
— Sahir Ludhianvi
Main pal do pal kaa shaa'ir hoon pal do pal miree kahaanee hai
Pal do pal meree hastee hai pal do pal miree javaanee hai
Mujh se pahle kitne shaa'ir aa.e aur aa kar chale ga.e
Kuchh aahen bhar kar lauT ga.e kuch naghme gaa kar chale ga.e
Vo bhee ik pal kaa qissa the main bhee ik pal kaa qissa hoon
Kal tum se judaa ho jaa.oongaa go aaj tumhaaraa hissa hoon
Pal do pal men kuch kah paayaa itnee hee sa'aadat kaafee hai
Pal do pal tum ne mujh ko sunaa itnee hee 'inaayat kaafee hai
Kal aur aa.enge naghmon kee khiltee kaliyaan chunne vaale
Mujh se behtar kahne vaale tum se behtar sunne vaale
Har nasl ik fasl hai dhartee kee aaj ugtee hai kal kaTtee hai
Jeevan wo mahngee madiraa hai jo qatra qatra baTtee hai
Saagar se ubhree lahar hoon main saagar men phir kho jaa.oongaa
MiTTee kee ruuh kaa sapnaa hoon miTTee men phir so jaa.oongaa
Kal koi mujh ko yaad kare kyuun koi mujh ko yaad kare
Masroof zamaana mere liye kyuun waqt apna barbaad kare
Main pal do pal ka sha'ir hun pal do pal meri kahani hai
Pal do pal meri hasti hai pal do pal meri jawani hai
Mujh se pahle kitne sha'ir aae aur aa kar chale gae
Kuchh aahen bhar kar lauT gae kuch naghme ga kar chale gae
Wo bhi ek pal ka qissa the main bhi ek pal ka qissa hun
Kal tum se juda ho jaunga go aaj tumhaara hissa hun
Pal do pal mein kuch kah paya itni hi sa'adat kafi hai
Pal do pal tum ne mujh ko suna itni hi 'inayat kafi hai
Kal aur aaenge naghmon ki khilti kaliyan chunne wale
Mujh se behtar kahne wale tum se behtar sunne wale
Har nasl ek fasl hai dharti ki aaj ugti hai kal kaTti hai
Jiwan wo mahngi madira hai jo qatra qatra baTti hai
Sagar se ubhri lahar hun main sagar mein phir kho jaunga
MiTTi ki ruh ka sapna hun miTTi mein phir so jaunga
Kal koi mujh ko yaad kare kyun koi mujh ko yaad kare
Masruf zamana mere liye kyun waqt apna barbaad kare