main zindagii kaa saath nibhaataa chalaa gaya
— Sahir Ludhianvi
Main zindagee kaa saath nibhaataa chalaa gaya
Har fikr ko dhuen men uDaataa chalaa gaya
Barbaadiyon kaa sog manaanaa fuzool tha
Barbaadiyon kaa jashn manaataa chalaa gaya
Jo mil gaya usee ko muqaddar samajh liyaa
Jo kho gaya main us ko bhulaataa chalaa gaya
Gham aur khushee men farq na mahsoos ho jahaan
Main dil ko us maqaam pe laataa chalaa gaya
Main zindagi ka sath nibhata chala gaya
Har fikr ko dhuen mein uData chala gaya
Barbaadiyon ka sog manana fuzul tha
Barbaadiyon ka jashn manata chala gaya
Jo mil gaya usi ko muqaddar samajh liya
Jo kho gaya main us ko bhulata chala gaya
Gham aur KHushi mein farq na mahsus ho jahan
Main dil ko us maqam pe lata chala gaya