miltii hai zindagii men mohabbat kabhi kabhi
— Sahir Ludhianvi
Miltee hai zindagee men mohabbat kabhi kabhi
Hotee hai dilbaron kee inaayat kabhi kabhi
Sharmaa ke munh na pher nazar ke savaal par
Laatee hai aise moD pe qismat kabhi kabhi
Khulte nahin hain roz dareeche bahaar ke
Aatee hai jaan-e-man ye qayaamat kabhi kabhi
Tanhaa na kaT sakenge javaanee ke raaste
Pesh aa.egee kisee kee zaroorat kabhi kabhi
Phir kho na jaa.en ham kaheen dunya kee bhiiD men
Miltee hai paas aane kee mohlat kabhi kabhi
Milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi
Hoti hai dilbaron ki inayat kabhi kabhi
Sharma ke munh na pher nazar ke sawal par
Lati hai aise moD pe qismat kabhi kabhi
Khulte nahin hain roz dariche bahaar ke
Aati hai jaan-e-man ye qayamat kabhi kabhi
Tanha na kaT sakenge jawani ke raste
Pesh aaegi kisi ki zarurat kabhi kabhi
Phir kho na jaen hum kahin duniya ki bhiD mein
Milti hai pas aane ki mohlat kabhi kabhi