mire ahd ke hasiino wo sitaare jin ki khaatir kaii be qaraar sadiyaan

Sahir Ludhianvi

Wo sitaare jin kee khaatir ka.ee be-qaraar sadiyaan Miree teera-bakht dunya men sitaara-vaar jaageen Kabhee rif.aton pe lapkeen kabhi vus.aton se uljheen Kabhee sogvaar so.en kabhi naghma-baar jaageen Vo buland-baam taare wo falak-maqaam taare Vo nishaan de ke apna rahe be-nishaan hamesha Vo haseen wo noor-zaade wo khalaa ke shaahzaade Jo hamaaree qismaton par rahe hukmaraan hamesha Jinhen muzmahil dilon ne abadee panaah jaanaa Thake-haare qaafilon ne jinhen khizr-e-raah jaanaa Jinhen kam-sinon ne chaahaa ki lapak ke pyaar kar len Jinhen mahvashon ne maangaa ki gale kaa haar kar len Jinhen aashiqon ne chaahaa ki falak se tod laa.en Kisee raah men bichhaa.en kisee sej par sajaa.en Jinhen but-garon ne chaahaa ki sanam banaa ke poojen Ye jo duur ke haseen hain unhen paas laa ke poojen Jinhen mutribon ne chaahaa ki sadaaon men piro len Jinhen shaa.iron ne chaahaa ki khayaal men samo len Ho hazaar koshishon par bhee shumaar men na aa.e Kabhee khaak-e-be-bizaa.at ke dayaar men na aa.e Jo hamaaree dastaras se rahe duur duur ab tak Hamen dekhte rahe hain jo ba-sad ghuroor ab tak Mire ahd ke haseeno wo nazar-navaaz taare Miraa daur-e-ishq-parvar tumhen nazr de raha hai Vo junoon jo aab-o-aatish ko asiir kar chukaa tha Vo khalaa kee vus.aton se bhee khiraaj le raha hai Mire saath rehne vaalo mire ba.ad aane vaalo Mere daur kaa ye tohfa tumhen saazgaar aa.e Kabhee tum khalaa se guzro kisee seem-tan kee khaatir Kabhee tum ko dil men rakh kar koi gul-azaar aa.e Wo sitare jin ki KHatir kai be-qarar sadiyan Meri tira-baKHt duniya mein sitara-war jagin Kabhi rifaton pe lapkin kabhi wusaton se uljhin Kabhi sogwar soen kabhi naghma-bar jagin Wo buland-baam tare wo falak-maqam tare Wo nishan de ke apna rahe be-nishan hamesha Wo hasin wo nur-zade wo KHala ke shahzade Jo hamari qismaton par rahe hukmaran hamesha Jinhen muzmahil dilon ne abadi panah jaana Thake-haare qafilon ne jinhen KHizr-e-rah jaana Jinhen kam-sinon ne chaha ki lapak ke pyar kar len Jinhen mahwashon ne manga ki gale ka haar kar len Jinhen aashiqon ne chaha ki falak se tod laen Kisi rah mein bichhaen kisi sej par sajaen Jinhen but-garon ne chaha ki sanam bana ke pujen Ye jo dur ke hasin hain unhen pas la ke pujen Jinhen mutribon ne chaha ki sadaon mein piro len Jinhen shairon ne chaha ki KHayal mein samo len Ho hazar koshishon par bhi shumar mein na aae Kabhi KHak-e-be-bizaat ke dayar mein na aae Jo hamari dastaras se rahe dur dur ab tak Hamein dekhte rahe hain jo ba-sad ghurur ab tak Mere ahd ke hasino wo nazar-nawaz tare Mera daur-e-ishq-parwar tumhein nazr de raha hai Wo junun jo aab-o-atish ko asir kar chuka tha Wo KHala ki wusaton se bhi KHiraj le raha hai Mere sath rehne walo mere baad aane walo Mere daur ka ye tohfa tumhein sazgar aae Kabhi tum KHala se guzro kisi sim-tan ki KHatir Kabhi tum ko dil mein rakh kar koi gul-azar aae