mohabbat tark ki main ne garebaan sii liyaa main ne
— Sahir Ludhianvi
Mohabbat tark kee main ne garebaan see liyaa main ne
Zamaane ab to khush ho zahr ye bhee pee liyaa main ne
Abhee zinda hoon lekin sochtaa rahtaa hoon khalvat men
Ki ab tak kis tamannaa ke sahaare jee liyaa main ne
Unhen apna nahin saktaa magar itnaa bhee kya kam hai
Ki kuch muddat haseen khawabon men kho kar jee liyaa main ne
Bas ab to daaman-e-dil chhoD do bekaar ummeedo
Bahut dukh sah liye main ne bahut din jee liyaa main ne
Mohabbat tark ki main ne gareban si liya main ne
Zamane ab to KHush ho zahr ye bhi pi liya main ne
Abhi zinda hun lekin sochta rehta hun KHalwat mein
Ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya main ne
Unhen apna nahin sakta magar itna bhi kya kam hai
Ki kuch muddat hasin KHwabon mein kho kar ji liya main ne
Bas ab to daman-e-dil chhoD do bekar ummido
Bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne