na tuu zameen ke liye hai na aasmaan ke liye
— Sahir Ludhianvi
Na too zameen ke liye hai na aasmaan ke liye
Tiraa vajood hai ab sirf daastaan ke liye
PalaT ke soo-e-chaman dekhne se kya hogaa
Vo shaakh hee na rahi jo thee aashiyaan ke liye
Gharaz-parast jahaan men wafa talaash na kar
Ye shai banee thee kisee doosre jahaan ke liye
Na tu zamin ke liye hai na aasman ke liye
Tera wajud hai ab sirf dastan ke liye
PalaT ke su-e-chaman dekhne se kya hoga
Wo shaKH hi na rahi jo thi aashiyan ke liye
Gharaz-parast jahan mein wafa talash na kar
Ye shai bani thi kisi dusre jahan ke liye