nigaah e naaz ke maaron kaa haal kya hogaa
— Sahir Ludhianvi
Nigaah-e-naaz ke maaron kaa haal kya hogaa
Na bach sake to bechaaron kaa haal kya hogaa
Hameen ne 'ishq ke qaabil banaa diyaa hai tumhen
Hameen na hon to nazaaron kaa haal kya hogaa
Hamaare husn kee bijlee chamakne vaalee hai
Na jaane aaj hazaaron kaa haal kya hogaa
Bahaar-e-husn salaamat khizaan se poochh zaraa
Ki chaar din men bahaaron kaa haal kya hogaa
Ham apne chehre se parda uThaa to den lekin
Ghareeb chaand-sitaaron kaa haal kya hogaa
Nigah-e-naz ke maron ka haal kya hoga
Na bach sake to bechaaron ka haal kya hoga
Hamin ne 'ishq ke qabil bana diya hai tumhein
Hamin na hon to nazaron ka haal kya hoga
Hamare husn ki bijli chamakne wali hai
Na jaane aaj hazaron ka haal kya hoga
Bahaar-e-husn salamat KHizan se puchh zara
Ki chaar din mein bahaaron ka haal kya hoga
Hum apne chehre se parda uTha to den lekin
Gharib chand-sitaron ka haal kya hoga