sadiyon se insaan ye suntaa aayaa hai

Sahir Ludhianvi

Sadiyon se insaan ye suntaa aayaa hai Dukh kee dhoop ke aage sukh kaa saayaa hai Ham ko in sastee khushiyon kaa lobh na do Ham ne soch samajh kar gham apnaayaa hai JhuuT to qaatil Thahraa is kaa kya ronaa Sach ne bhee insaan kaa Khoon bahaayaa hai Paidaa.ish ke din se maut kee zad men hain Is maqtal men kaun hamen le aayaa hai Avval avval jis dil ne barbaad kiyaa Aakhir aakhir wo dil hee kaam aayaa hai Itne din ehsaan kiyaa deevaanon par Jitne din logon ne saath nibhaayaa hai Sadiyon se insan ye sunta aaya hai Dukh ki dhup ke aage sukh ka saya hai Hum ko in sasti KHushiyon ka lobh na do Hum ne soch samajh kar gham apnaya hai JhuT to qatil Thahra is ka kya rona Sach ne bhi insan ka KHun bahaya hai Paidaish ke din se maut ki zad mein hain Is maqtal mein kaun hamein le aaya hai Awwal awwal jis dil ne barbaad kiya AaKHir aaKHir wo dil hi kaam aaya hai Itne din ehsan kiya diwanon par Jitne din logon ne sath nibhaya hai