sazaa kaa haal sunaaen jazaa ki baat karen

Sahir Ludhianvi

Sazaa kaa haal sunaa.en jazaa kee baat karen Khudaa milaa ho jinhen wo khuda kee baat karen Unhen pata bhee chale aur wo khafaa bhee na hon Is ehtiyaat se kya mudda.aa kee baat karen Hamaare ahd kee tahzeeb men qabaa hee nahin Agar qabaa ho to band-e-qabaa kee baat karen Har ek daur kaa maz.hab nayaa khuda laayaa Karen to ham bhee magar kis khuda kee baat karen Vafaa-shi.aar ka.ee hain koi haseen bhee to ho Chalo phir aaj usee bevafaa kee baat karen Saza ka haal sunaen jaza ki baat karen KHuda mila ho jinhen wo KHuda ki baat karen Unhen pata bhi chale aur wo KHafa bhi na hon Is ehtiyat se kya muddaa ki baat karen Hamare ahd ki tahzib mein qaba hi nahin Agar qaba ho to band-e-qaba ki baat karen Har ek daur ka mazhab naya KHuda laya Karen to hum bhi magar kis KHuda ki baat karen Wafa-shiar kai hain koi hasin bhi to ho Chalo phir aaj usi bewafa ki baat karen