tadbiir se bigdii huii taqdiir banaa le
— Sahir Ludhianvi
Tadbeer se bigDee huee taqdeer banaa le
Apne pe bharosa hai to ik daav lagaa le
Dartaa hai zamaane kee nigaahon se bhalaa kyon
Insaaf tire saath hai ilzaam uThaa le
Kyaa khaak wo jiinaa hai jo apne hee liye ho
Khud miT ke kisee aur ko miTne se bachaa le
TuuTe hue patvaar hain kashtee ke to ham kya
Haaree huee baahon ko hee patvaar banaa de
Tadbir se bigDi hui taqdir bana le
Apne pe bharosa hai to ek daw laga le
Darta hai zamane ki nigahon se bhala kyon
Insaf tere sath hai ilzam uTha le
Kya KHak wo jina hai jo apne hi liye ho
KHud miT ke kisi aur ko miTne se bacha le
TuTe hue patwar hain kashti ke to hum kya
Haari hui bahon ko hi patwar bana de