waqt se din aur raat waqt se kal aur aaj

Sahir Ludhianvi

Waqt se din aur raat waqt se kal aur aaj Vaqt kee har shai ghulaam waqt kaa har shai pe raaj Vaqt kee paaband hain aatee jaatee raunaqen Vaqt hai phoolon kee sej waqt hai kaanTon kaa taaj Aadmee ko chaahiye waqt se Dar kar rahe Kaun jaane kis ghaDee waqt kaa badle mizaaj Waqt se din aur raat waqt se kal aur aaj Waqt ki har shai ghulam waqt ka har shai pe raj Waqt ki paband hain aati jati raunaqen Waqt hai phulon ki sej waqt hai kanTon ka taj Aadmi ko chahiye waqt se Dar kar rahe Kaun jaane kis ghaDi waqt ka badle mizaj