ye mahlon ye takhton ye taajon ki dunya ye mahlon ye takhton ye taajon ki dunya
— Sahir Ludhianvi
Ye mahlon ye takhton ye taajon kee dunya
Ye insaan ke dushman samaajon kee dunya
Ye daulat ke bhooke rivaajon kee dunya
Ye dunya agar mil bhee jaa.e to kya hai
Har ik jism ghaayal har ik ruuh pyaasee
Nigaahon men uljhan dilon men udaasee
Ye dunya hai yaa 'aalam-e-bad-havaasee
Ye dunya agar mil bhee jaa.e to kya hai
Yahaan ik khilaunaa hai insaan kee hastee
Ye bastee hai murda-paraston kee bastee
Yahaan par to jeevan se hai maut sastee
Ye dunya agar mil bhee jaa.e to kya hai
Javaanee bhaTaktee hai bad-kaar ban kar
Javaan jism sajte hain baazaar ban kar
Yahaan pyaar hota hai bevpaar ban kar
Ye dunya agar mil bhee jaa.e to kya hai
Ye dunya jahaan aadmee kuch nahin hai
Vafaa kuch nahin dostee kuch nahin hai
Jahaan pyaar kee qadr hee kuch nahin hai
Ye dunya agar mil bhee jaa.e to kya hai
Jalaa do ise phoonk Daalo ye dunya
Mire saamne se haTaa lo ye dunya
Tumhaaree hai tum hee sanbhaalo ye dunya
Ye dunya agar mil bhee jaa.e to kya hai
Ye mahlon ye taKHton ye tajon ki duniya
Ye insan ke dushman samajon ki duniya
Ye daulat ke bhuke riwajon ki duniya
Ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
Har ek jism ghayal har ek ruh pyasi
Nigahon mein uljhan dilon mein udasi
Ye duniya hai ya 'alam-e-bad-hawasi
Ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
Yahan ek khilauna hai insan ki hasti
Ye basti hai murda-paraston ki basti
Yahan par to jiwan se hai maut sasti
Ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
Jawani bhaTakti hai bad-kar ban kar
Jawan jism sajte hain bazar ban kar
Yahan pyar hota hai bewpar ban kar
Ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
Ye duniya jahan aadmi kuch nahin hai
Wafa kuch nahin dosti kuch nahin hai
Jahan pyar ki qadr hi kuch nahin hai
Ye duniya agar mil bhi jae to kya hai
Jala do ise phunk Dalo ye duniya
Mere samne se haTa lo ye duniya
Tumhaari hai tum hi sanbhaalo ye duniya
Ye duniya agar mil bhi jae to kya hai