ye vaadiyaan ye fazaaen bulaa rahii hain tumhen
— Sahir Ludhianvi
Ye vaadiyaan ye fazaa.en bulaa rahi hain tumhen
Khamoshiyon kee sadaa.en bulaa rahi hain tumhen
Taras rahe hain javaan phuul honT chhoone ko
Machal machal ke havaa.en bulaa rahi hain tumhen
Tumhaaree zulfon se khushboo kee bhiik lene ko
Jhukee jhukee see ghaTaa.en bulaa rahi hain tumhen
Haseen champa.ee pairon ko jab se dekhaa hai
Nadee kee mast adaa.en bulaa rahi hain tumhen
Miraa kahaa na suno un kee baat to sun lo
Har ek dil kee duaa.en bulaa rahi hain tumhen
Ye wadiyan ye fazaen bula rahi hain tumhein
KHamoshiyon ki sadaen bula rahi hain tumhein
Taras rahe hain jawan phul honT chhune ko
Machal machal ke hawaen bula rahi hain tumhein
Tumhaari zulfon se KHushbu ki bhik lene ko
Jhuki jhuki si ghaTaen bula rahi hain tumhein
Hasin champai pairon ko jab se dekha hai
Nadi ki mast adaen bula rahi hain tumhein
Mera kaha na suno un ki baat to sun lo
Har ek dil ki duaen bula rahi hain tumhein