aab o havaa hai barsar e paikaar kaun hai

Saleem Kausar

Aab o havaa hai barsar-e-paikaar kaun hai Mere sivaa ye mujh men giraftaar kaun hai Ik raushnee see raah dikhaatee hai har taraf Dosh-e-havaa pe saahib-e-raftaar kaun hai Ek ek kar ke khud se bichhaDne lage hain ham Dekho to jaa ke qaafila-saalaar kaun hai Boseedgee ke khauf se sab uTh ke chal diye Phir bhee ye zer-e-saaya-e-deevaar kaun hai Qadmon men saa.e kee tarah raunde ga.e hain ham Ham se ziyaada teraa talabgaar kaun hai Phailaa raha hai daaman-e-shab kee hikaayaten Sooraj nahin to ye pas-e-kohsaar kaun hai Kyaa shai hai jis ke vaaste TuuTe paDe hain log Ye bhiiD kyuun hai raunaq-e-baazaar kaun hai Ai dil ab apnee lau ko bachaa le ki shahr men Too jal-bujhaa to teraa 'azaa-daar kaun hai Ab tak isee khayaal se so.e nahin 'saleem' Ham so ga.e to phir yahaan bedaar kaun hai Aab o hawa hai barsar-e-paikar kaun hai Mere siwa ye mujh mein giraftar kaun hai Ek raushni si rah dikhati hai har taraf Dosh-e-hawa pe sahib-e-raftar kaun hai Ek ek kar ke KHud se bichhaDne lage hain hum Dekho to ja ke qafila-salar kaun hai Bosidgi ke KHauf se sab uTh ke chal diye Phir bhi ye zer-e-saya-e-diwar kaun hai Qadmon mein sae ki tarah raunde gae hain hum Hum se ziyaada tera talabgar kaun hai Phaila raha hai daman-e-shab ki hikayaten Suraj nahin to ye pas-e-kohsar kaun hai Kya shai hai jis ke waste TuTe paDe hain log Ye bhiD kyun hai raunaq-e-bazar kaun hai Ai dil ab apni lau ko bacha le ki shahr mein Tu jal-bujha to tera 'aza-dar kaun hai Ab tak isi KHayal se soe nahin 'salim' Hum so gae to phir yahan bedar kaun hai