Abhi hairat ziyaada aur ujaalaa kam rahegaa

Saleem Kausar

Abhee hairat ziyaada aur ujaalaa kam rahegaa Ghazal men ab ke bhee teraa havaala kam rahegaa Miree vahshat pe sahraa tang hota jaa raha hai Kahaa to thaa ye aangan laa-mahaala kam rahegaa Bhalaa wo husn kis kee dastaras men aa sakaa hai Ki saaree umr bhee likkhen maqaala kam rahegaa Bahut se dukh to aise bhee diye tum ne ki jin kaa Mudaavaa ho nahin saktaa izaala kam rahegaa Vo chaandee kaa ho sone kaa ho yaa phir ho lahoo kaa 'saleem' ahl-e-havas ko har nivaala kam rahegaa Abhi hairat ziyaada aur ujala kam rahega Ghazal mein ab ke bhi tera hawala kam rahega Meri wahshat pe sahra tang hota ja raha hai Kaha to tha ye aangan la-mahaala kam rahega Bhala wo husn kis ki dastaras mein aa saka hai Ki sari umr bhi likkhen maqala kam rahega Bahut se dukh to aise bhi diye tum ne ki jin ka Mudawa ho nahin sakta izala kam rahega Wo chandi ka ho sone ka ho ya phir ho lahu ka 'salim' ahl-e-hawas ko har niwala kam rahega