ajnabii hairaan mat honaa ki dar khultaa nahin
— Saleem Kausar
Ajnabee hairaan mat honaa ki dar khultaa naheen
Jo yahaan aabaad hain un par bhee ghar khultaa naheen
Raaste kab gard ho jaate hain aur manzil saraab
Har musaafir par tilism-e-rahguzar khultaa naheen
Dekhne vaale taghaaful kaar-farmaa hai abhee
Vo dareecha khul gaya husn-e-nazar khultaa naheen
Jaane kyuun teree taraf se dil ko dhaDkaa hee raha
Is takalluf se to koee naama-bar khultaa naheen
Intizaar aur dastakon ke darmiyaan kaTtee hai umr
Itnee aasaanee se to baab-e-hunar khultaa naheen
Ham bhee us ke saath gardish men hain barson se 'saleem'
Jo sitaara saath rahtaa hai magar khultaa naheen
Ajnabi hairan mat hona ki dar khulta nahin
Jo yahan aabaad hain un par bhi ghar khulta nahin
Raste kab gard ho jate hain aur manzil sarab
Har musafir par tilism-e-rahguzar khulta nahin
Dekhne wale taghaful kar-farma hai abhi
Wo daricha khul gaya husn-e-nazar khulta nahin
Jaane kyun teri taraf se dil ko dhaDka hi raha
Is takalluf se to koi nama-bar khulta nahin
Intizar aur dastakon ke darmiyan kaTti hai umr
Itni aasani se to bab-e-hunar khulta nahin
Hum bhi us ke sath gardish mein hain barson se 'salim'
Jo sitara sath rehta hai magar khulta nahin