bas ik rasta hai ik awaaz aur ek saayaa hai
— Saleem Kausar
Bas ik rasta hai ik awaaz aur ek saayaa hai
Ye kis ne aa ke gahree niind se mujh ko jagaayaa hai
BichhaDtee aur miltee saa.aton ke darmiyaan ik pal
Yahee ik pal bachaane ke liye sab Kuch ganvaayaa hai
Idhar ye dil abhee tak hai aseer-e-vahshat-e-sahraa
Udhar us aankh ne chaaron taraf pahra biThaayaa hai
Tumhen kaise bataa.en jhuuT kya hai aur sach kya hai
Na tum ne aa.ina dekhaa na aa.eena dikhaayaa hai
Hamen ik ism-e-aazam yaad hai wo saath hai, ham ne
Ka.ee baar aasmaan ko in zameenon par bulaayaa hai
Kahaan tak rokte aankhon men abr-o-baad-e-hijraan ko
Ab aa.e ho ki jab ye shahr zer-e-aab aayaa hai
'saleem' ab tak kisee ko bad-du'aa dee to nahin lekin
Hamesha khush rahe jis ne hamaaraa dil dukhaayaa hai
Bas ek rasta hai ek aawaz aur ek saya hai
Ye kis ne aa ke gahri nind se mujh ko jagaya hai
BichhaDti aur milti saaton ke darmiyan ek pal
Yahi ek pal bachane ke liye sab Kuch ganwaya hai
Idhar ye dil abhi tak hai asir-e-wahshat-e-sahra
Udhar us aankh ne chaaron taraf pahra biThaya hai
Tumhein kaise bataen jhuT kya hai aur sach kya hai
Na tum ne aaina dekha na aaina dikhaya hai
Hamein ek ism-e-azam yaad hai wo sath hai, hum ne
Kai bar aasman ko in zaminon par bulaya hai
Kahan tak rokte aankhon mein abr-o-baad-e-hijran ko
Ab aae ho ki jab ye shahr zer-e-ab aaya hai
'salim' ab tak kisi ko bad-du'a di to nahin lekin
Hamesha KHush rahe jis ne hamara dil dukhaya hai