charaag e yaad ki lau ham safar kahaan tak hai
— Saleem Kausar
Charaagh-e-yaad kee lau ham-safar kahaan tak hai
Ye raushnee miree dahleez par kahaan tak hai
Bas ek tum the ki jo dil kaa haal jaante the
So ab tumhen bhee hamaaree khabar kahaan tak hai
Musaafiraan-e-junoon gard ho ga.e lekin
Khulaa nahin ki tiree rahguzar kahaan tak hai
Har ek lamha badaltee huee kahaanee men
Hikaayat-e-gham-e-dil mo'tabar kahaan tak hai
Zameen kee aakhiree had par pahunch ke sochtaa hoon
Yahaan se mausam-e-deevaar-o-dar kahaan tak hai
BichhaDne vaalon ko andaaza hee nahin hota
Too ham-safar hai magar ham-safar kahaan tak hai
Ajiib log hain aazaadiyon ke maare hue
Qafas men poochhte phirte hain ghar kahaan tak hai
Charagh-e-yaad ki lau ham-safar kahan tak hai
Ye raushni meri dahliz par kahan tak hai
Bas ek tum the ki jo dil ka haal jaante the
So ab tumhein bhi hamari KHabar kahan tak hai
Musafiran-e-junun gard ho gae lekin
Khula nahin ki teri rahguzar kahan tak hai
Har ek lamha badalti hui kahani mein
Hikayat-e-gham-e-dil mo'tabar kahan tak hai
Zamin ki aaKHiri had par pahunch ke sochta hun
Yahan se mausam-e-diwar-o-dar kahan tak hai
BichhaDne walon ko andaza hi nahin hota
Tu ham-safar hai magar ham-safar kahan tak hai
Ajib log hain aazadiyon ke mare hue
Qafas mein puchhte phirte hain ghar kahan tak hai