junoon tabdili e mausam kaa taqriiron ki had tak hai
— Saleem Kausar
Junoon tabdili-e-mausam kaa taqreeron kee had tak hai
Yahaan jo Kuch nazar aataa hai tasveeron kee had tak hai
Ghubaar aasaar kartee hai musaafir ko subuk-gaamee
Tilism-e-manzil-e-hastee to rahgeeron kee had tak hai
Zamaane too ne gham ko bhee numaa.ish kar diyaa aakhir
Nashaat-e-girya-o-maatam bhee zanjeeron kee had tak hai
Junun tabdili-e-mausam ka taqriron ki had tak hai
Yahan jo Kuch nazar aata hai taswiron ki had tak hai
Ghubar aasar karti hai musafir ko subuk-gami
Tilism-e-manzil-e-hasti to rahgiron ki had tak hai
Zamane tu ne gham ko bhi numaish kar diya aaKHir
Nashat-e-girya-o-matam bhi zanjiron ki had tak hai