kabhi sitaare kabhi kahkashaan bulaataa hai
— Saleem Kausar
Kabhi sitaare kabhi kahkashaan bulaataa hai
Hamen wo bazm men apnee kahaan bulaataa hai
Na jaane kaun see uftaad aa paDee hai ki jo
Ham ahl-e-'ishq ko kaar-e-jahaan bulaataa hai
Ye kaisaa daam-e-rihaa.ee bichhaa diyaa us ne
Zameen pakaDtee hai aur aasmaan bulaataa hai
Galee galee men 'aqeedon bharee dukaanen hain
Qadam qadam pe nayaa aastaan bulaataa hai
BhaTak ga.e hain magar gum nahin hue hain kaheen
Abhee hamen jaras-e-kaarvaan bulaataa hai
Ye aag lagne se pahle kee baaz-gasht hai jo
Bujhaane vaalon ko ab tak dhuaan bulaataa hai
Umiid TooTne lagtee hai jab bhee koi 'saleem'
To ik yaqeen pas-e-vahm-o-gumaan bulaataa hai
Kabhi sitare kabhi kahkashan bulata hai
Hamein wo bazm mein apni kahan bulata hai
Na jaane kaun si uftad aa paDi hai ki jo
Hum ahl-e-'ishq ko kar-e-jahan bulata hai
Ye kaisa dam-e-rihai bichha diya us ne
Zamin pakaDti hai aur aasman bulata hai
Gali gali mein 'aqidon bhari dukanen hain
Qadam qadam pe naya aastan bulata hai
BhaTak gae hain magar gum nahin hue hain kahin
Abhi hamein jaras-e-karwan bulata hai
Ye aag lagne se pahle ki baz-gasht hai jo
Bujhane walon ko ab tak dhuan bulata hai
Umid TuTne lagti hai jab bhi koi 'salim'
To ek yaqin pas-e-wahm-o-guman bulata hai