lau ko chhuune ki havas men ek chehra jal gaya

Saleem Kausar

Lau ko chhoone kee havas men ek chehra jal gaya Sham.a ke itne qareeb aayaa ki saayaa jal gaya Pyaas kee shiddat thee sairaabee men sahraa kee tarah Vo badan paanee men kya utraa ki Dariya jal gaya Kyaa ajab kaar-e-tahayyur hai supurd-e-naar-e-ishq Ghar men jo tha bach gaya aur jo nahin tha jal gaya Garmi-e-deedaar aisi thee tamaashaa-gaah men Dekhne vaalon kee aankhon men tamaashaa jal gaya Khud hee khaakistar kiyaa us ne mujhe aur us ke baad Mujh se khud hee poochhtaa hai bol kya kya jal gaya Sirf yaad-e-yaar baaqee rah ga.ee dil men 'saleem' Ek ik kar ke sabhee asbaab-e-dunya jal gaya Lau ko chhune ki hawas mein ek chehra jal gaya Shama ke itne qarib aaya ki saya jal gaya Pyas ki shiddat thi sairabi mein sahra ki tarah Wo badan pani mein kya utra ki dariya jal gaya Kya ajab kar-e-tahayyur hai supurd-e-nar-e-ishq Ghar mein jo tha bach gaya aur jo nahin tha jal gaya Garmi-e-didar aisi thi tamasha-gah mein Dekhne walon ki aankhon mein tamasha jal gaya KHud hi KHakistar kiya us ne mujhe aur us ke baad Mujh se KHud hi puchhta hai bol kya kya jal gaya Sirf yaad-e-yar baqi rah gai dil mein 'salim' Ek ek kar ke sabhi asbab-e-duniya jal gaya