main use tujh se milaa deta magar dil mere
— Saleem Kausar
Main use tujh se milaa deta magar dil mere
Mere kuch kaam nahin aa.e vasaa.il mere
Vo junoon-khez masaafat thee ki dekhaa hee nahin
Umr bhar paanv se lipTee rahi manzil mere
Too milaa hai to nikal aa.e hain dushman saare
Vaqt kis kis ko uThaa laayaa muqaabil mere
Abr-e-girya ne wo toofaan uThaa.e ab ke
Mere dariyaaon ko kam paD ga.e saahil mere
Jitnaa hal kartaa hoon utnaa hee bigaD jaate hain
Too nahin jaantaa ai dost masaa.il mere
Ishq men haar ke ma.anee hee badal jaate hain
Tujh ko maaloom nahin hai abhee qaatil mere
Be-ant safar meraa muqaddar hai 'saleem'
Mujh men tai kartaa hai ye kaun maraahil mere
Main use tujh se mila deta magar dil mere
Mere kuch kaam nahin aae wasail mere
Wo junun-KHez masafat thi ki dekha hi nahin
Umr bhar panw se lipTi rahi manzil mere
Tu mila hai to nikal aae hain dushman sare
Waqt kis kis ko uTha laya muqabil mere
Abr-e-girya ne wo tufan uThae ab ke
Mere dariyaon ko kam paD gae sahil mere
Jitna hal karta hun utna hi bigaD jate hain
Tu nahin jaanta ai dost masail mere
Ishq mein haar ke mani hi badal jate hain
Tujh ko malum nahin hai abhi qatil mere
Be-ant safar mera muqaddar hai 'salim'
Mujh mein tai karta hai ye kaun marahil mere