milnaa na milnaa ek bahaana hai aur bas

Saleem Kausar

Milnaa na milnaa ek bahaana hai aur bas Tum sach ho baaqee jo hai fasaana hai aur bas Logon ko raaste kee zaroorat hai aur mujhe Ik sang-e-rahguzar ko haTaanaa hai aur bas Masroofiyat ziyaada nahin hai miree yahaan MiTTee se ik charaagh banaanaa hai aur bas So.e hue to jaag hee jaa.enge ek din Jo jaagte hain un ko jagaanaa hai aur bas Tum wo nahin ho jin se wafa kee umiid hai Tum se miree muraad zamaana hai aur bas Phoolon ko DhoonDtaa huaa phirtaa hoon baagh men Baad-e-sabaa ko kaam dilaanaa hai aur bas Aab o havaa to yuun bhee miraa mas.ala nahin Mujh ko to ik darakht lagaanaa hai aur bas Neendon kaa rat-jagon se ulajhnaa yoonhee nahin Ik khvaab-e-raa.egaan ko bachaanaa hai aur bas Ik waada jo kiyaa hee nahin hai abhee 'saleem' Mujh ko vahee to waada nibhaanaa hai aur bas Milna na milna ek bahana hai aur bas Tum sach ho baqi jo hai fasana hai aur bas Logon ko raste ki zarurat hai aur mujhe Ek sang-e-rahguzar ko haTana hai aur bas Masrufiyat ziyaada nahin hai meri yahan MiTTi se ek charagh banana hai aur bas Soe hue to jag hi jaenge ek din Jo jagte hain un ko jagana hai aur bas Tum wo nahin ho jin se wafa ki umid hai Tum se meri murad zamana hai aur bas Phulon ko DhunDta hua phirta hun bagh mein Baad-e-saba ko kaam dilana hai aur bas Aab o hawa to yun bhi mera masala nahin Mujh ko to ek daraKHt lagana hai aur bas Nindon ka rat-jagon se ulajhna yunhi nahin Ek KHwab-e-raegan ko bachana hai aur bas Ek wa'da jo kiya hi nahin hai abhi 'salim' Mujh ko wahi to wa'da nibhana hai aur bas