na is tarah koi aayaa hai aur na aataa hai

Saleem Kausar

Na is tarah koi aayaa hai aur na aataa hai Magar wo hai ki musalsal diye jalaataa hai Kabhee safar kabhi rakht-e-safar ganvaataa hai Phir is ke baad koi raasta banaataa hai Ye log ishq men sachche nahin hain varna hijr Na ibtidaa na kaheen intihaa men aataa hai Ye kaun hai jo dikhaa.ee nahin diyaa ab tak Aur ek umr se apnee taraf bulaataa hai Vo kaun thaa main jise raaste men chhoD aayaa Ye kaun hai jo mire saath saath aataa hai Vahee tasalsul-e-auqaat toD degaa ki jo Dar-e-ufuq pe shab-o-roz ko milaataa hai Jo aasmaan se raaten utaartaa hai 'saleem' Vahee zameen se kabhi aaftaab uThaataa hai Na is tarah koi aaya hai aur na aata hai Magar wo hai ki musalsal diye jalata hai Kabhi safar kabhi raKHt-e-safar ganwata hai Phir is ke baad koi rasta banata hai Ye log ishq mein sachche nahin hain warna hijr Na ibtida na kahin intiha mein aata hai Ye kaun hai jo dikhai nahin diya ab tak Aur ek umr se apni taraf bulata hai Wo kaun tha main jise raste mein chhoD aaya Ye kaun hai jo mere sath sath aata hai Wahi tasalsul-e-auqat toD dega ki jo Dar-e-ufuq pe shab-o-roz ko milata hai Jo aasman se raaten utarta hai 'salim' Wahi zamin se kabhi aaftab uThata hai