na koi naam o nasab hai na goshvaara miraa
— Saleem Kausar
Na koi naam o nasab hai na goshvaara miraa
Bas apnee aab-o-havaa hee pe hai guzaara miraa
Miree zameen pe tire aaftaab raushan hain
Tire falak pe chamaktaa hai ik sitaara miraa
Jo chaahtaa hai wo taskheer kar le dunya ko
Kisee bhee shai pe nahin hai yahaan ijaara miraa
Main ham-kanaar huaa ek lahar se aur phir
Kinaare hee men kaheen gum huaa kinaara miraa
Bas ek lamhaa-e-benaam kee giraft men hain
Na jaane kaisaa ta.alluq hai ye tumhaaraa miraa
To phir jo nafaa hai main us men kyuun nahin shaamil
Agar yahaan kaa khasaara hai sab khasaara miraa
Jo dhyaan tak nahin deta hai meree baaton par
Samajh raha hai vahee shakhs to ishaara miraa
Kaheen khushee kee numaa.ish men rakh diyaa jaa kar
Kal us ne basta-e-gham taaq se utaaraa miraa
Vahee hai til vahee rukhsaar hain vahee too hai
Magar nahin hai samarqand aur bukhaaraa miraa
Main baad o baaraan se aatish kasheed kartaa hoon
Ki aab o khaak kee tamseel hai idaara miraa
Ab aa gaya hoon to sochaa sadaa lagaataa chaloon
Kise khabar yahaan aanaa na ho dobaara miraa
Daroon-e-khaana koi bhee nahin kisee kaa 'saleem'
Pe dekhne men to lagtaa hai shahr sara miraa
Na koi nam o nasab hai na goshwara mera
Bas apni aab-o-hawa hi pe hai guzara mera
Meri zamin pe tere aaftab raushan hain
Tere falak pe chamakta hai ek sitara mera
Jo chahta hai wo tasKHir kar le duniya ko
Kisi bhi shai pe nahin hai yahan ijara mera
Main ham-kanar hua ek lahar se aur phir
Kinare hi mein kahin gum hua kinara mera
Bas ek lamha-e-benam ki giraft mein hain
Na jaane kaisa talluq hai ye tumhaara mera
To phir jo nafa hai main us mein kyun nahin shamil
Agar yahan ka KHasara hai sab KHasara mera
Jo dhyan tak nahin deta hai meri baaton par
Samajh raha hai wahi shaKHs to ishaara mera
Kahin KHushi ki numaish mein rakh diya ja kar
Kal us ne basta-e-gham taq se utara mera
Wahi hai til wahi ruKHsar hain wahi tu hai
Magar nahin hai samarqand aur buKHara mera
Main baad o baran se aatish kashid karta hun
Ki aab o KHak ki tamsil hai idara mera
Ab aa gaya hun to socha sada lagata chalun
Kise KHabar yahan aana na ho dobara mera
Darun-e-KHana koi bhi nahin kisi ka 'salim'
Pe dekhne mein to lagta hai shahr sara mera