narkh baalaa kun ki arzaanii hunuuz Abhi Abhi ik havaa kaa jhonkaa
— Saleem Kausar
Abhee abhee ik havaa kaa jhonkaa
Jo teraa lahja
Jo tere geeton paheliyon kaa amiin ban kar
Samaa.aton ko
Hazaar lafzon kee daastaanen sunaa gaya hai
Abhee abhee be-karaan saa lamha
Jo kitnee sadiyon kaa bojh uThaa.e
Guzar gaya hai
Jo meree aankhon men so.e manzar jagaa gaya hai
Abhee abhee teraa ik saheefa ik ahd ban kar
Dayaar-e-dil men utar gaya hai
Miraa badan reza reza ho kar bikhar gaya hai
Main dekhtaa hoon
Ki naam teraa
Zabaan teree
Kalaam teraa
Zameen kee pastee se
Aasmaan kee bulandiyon tak
Har aane vaale nisaab lamhe kaa
Peshvaa hai
Main sochtaa hoon
Ki tujh pe likkhoon
Jo tujh pe likkhaa
To harf mere
Havaa men tahleel ho ga.e hain
Men chaahtaa hoon
Ki tujh ko sochoon
Jo tujh ko sochaa
To zaat teree
Paheliyon men ulajh ga.ee hai
Abhi abhi ek hawa ka jhonka
Jo tera lahja
Jo tere giton paheliyon ka amin ban kar
Samaaton ko
Hazar lafzon ki dastanen suna gaya hai
Abhi abhi be-karan sa lamha
Jo kitni sadiyon ka bojh uThae
Guzar gaya hai
Jo meri aankhon mein soe manzar jaga gaya hai
Abhi abhi tera ek sahifa ek ahd ban kar
Dayar-e-dil mein utar gaya hai
Mera badan reza reza ho kar bikhar gaya hai
Main dekhta hun
Ki nam tera
Zaban teri
Kalam tera
Zamin ki pasti se
Aasman ki bulandiyon tak
Har aane wale nisab lamhe ka
Peshwa hai
Main sochta hun
Ki tujh pe likkhun
Jo tujh pe likkha
To harf mere
Hawa mein tahlil ho gae hain
Mein chahta hun
Ki tujh ko sochun
Jo tujh ko socha
To zat teri
Paheliyon mein ulajh gai hai