safar ki ibtidaa huii ki teraa dhyaan aa gaya
— Saleem Kausar
Safar kee ibtidaa huee ki teraa dhyaan aa gaya
Miree zameen ke saamne ik aasamaan aa gaya
Ye faisla huaa miree shanaakht aa.eena kare
Magar ye kis kaa aks hai jo darmiyaan aa gaya
Ajiib uljhanon men ab ke saa.aten guzar ga.iin
Nisaab yaad bhee nahin aur imtihaan aa gaya
Hisaar-e-sail-e-aab se to naav bach ga.ee magar
Havaa ke haath saahilon pe baadbaan aa gaya
Nigaah aur raaste ke dukh to raushnee se the
Charaagh bujh ga.e to meraa mehmaan aa gaya
Tiree sadaa pe mujh ko lauTnaa thaa jang chhoD kar
Magar wo ek tiir jo sar-e-kamaan aa gaya
Main baam-o-dar se poochh aa.uun koi aayaa to nahin
'saleem' raat Dhal ga.ee miraa makaan aa gaya
Safar ki ibtida hui ki tera dhyan aa gaya
Meri zamin ke samne ek aasaman aa gaya
Ye faisla hua meri shanaKHt aaina kare
Magar ye kis ka aks hai jo darmiyan aa gaya
Ajib uljhanon mein ab ke saaten guzar gain
Nisab yaad bhi nahin aur imtihan aa gaya
Hisar-e-sail-e-ab se to naw bach gai magar
Hawa ke hath sahilon pe baadban aa gaya
Nigah aur raste ke dukh to raushni se the
Charagh bujh gae to mera mehman aa gaya
Teri sada pe mujh ko lauTna tha jang chhoD kar
Magar wo ek tir jo sar-e-kaman aa gaya
Main baam-o-dar se puchh aaun koi aaya to nahin
'salim' raat Dhal gai mera makan aa gaya