saraasar nafaa thaa lekin khasaara jaa raha hai
— Saleem Kausar
Saraasar nafaa thaa lekin khasaara jaa raha hai
To kya jiitee huee baazee ko haaraa jaa raha hai
Safar aaghaaz karnaa thaa jahaan se zindagee kaa
Hamen un raaston se ab guzaaraa jaa raha hai
Ye kin ke paas girvee rakh diyaa ham ne samundar
Ye kin logon ko saahil par utaaraa jaa raha hai
Use jo bhee milaa bach kar nahin aayaa abhee tak
Magar jo bach gaya milne dobaara jaa raha hai
'saleem' ik aakhiree mazmoon baaqee thaa ki chhapne
Miree rusvaa.ee kaa taaza shumaara jaa raha hai
Sarasar nafa tha lekin KHasara ja raha hai
To kya jiti hui bazi ko haara ja raha hai
Safar aaghaz karna tha jahan se zindagi ka
Hamein un raston se ab guzara ja raha hai
Ye kin ke pas girwi rakh diya hum ne samundar
Ye kin logon ko sahil par utara ja raha hai
Use jo bhi mila bach kar nahin aaya abhi tak
Magar jo bach gaya milne dobara ja raha hai
'salim' ek aaKHiri mazmun baqi tha ki chhapne
Meri ruswai ka taza shumara ja raha hai